badle na gae humse to haalat abhi tak
badle na ga.e ham se to hālāt abhī tak
karte hī rahe log savālāt abhī tak
ik ham ki kahīñ āshiyāñ ta.amīr na kar paa.e
vo mahv ba-ta.amīr-e-mahallāt abhī tak
ik baar hī duniyā se zarā dil jo lagāyā
dāman se haiñ lipTī huī āfāt abhī tak
kartī rahīñ insān ko insān se bad-zan
tahzīb-e-nau ye terī ḳhurāfāt abhī tak
miltā hī nahīñ koī hameñ pūchhne vaalā
siine meñ dabā rakkhe haiñ jazbāt abhī tak
dil TuuT sā jaatā hai taḌap jaatā huuñ us dam
yaad aate haiñ rah rah ke vo lamhāt abhī tak
ik ham hī 'amīñ' vaqt kā paiġhām na samjhe
mumkin hai badal jaate ye hālāt abhī tak
badle na gae hum se to haalat abhi tak
karte hi rahe log sawalat abhi tak
ek hum ki kahin aashiyan tamir na kar pae
wo mahw ba-tamir-e-mahallat abhi tak
ek bar hi duniya se zara dil jo lagaya
daman se hain lipTi hui aafat abhi tak
karti rahin insan ko insan se bad-zan
tahzib-e-nau ye teri KHurafat abhi tak
milta hi nahin koi hamein puchhne wala
sine mein daba rakkhe hain jazbaat abhi tak
dil TuT sa jata hai taDap jata hun us dam
yaad aate hain rah rah ke wo lamhat abhi tak
ek hum hi 'amin' waqt ka paigham na samjhe
mumkin hai badal jate ye haalat abhi tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.