baghair apne kisi matlab ke ulfat kaun karta hai
baġhair apne kisī matlab ke ulfat kaun kartā hai
ye duniyā hai yahāñ be-laus chāhat kaun kartā hai
gavārā lutf-farmānī kī zahmat kaun kartā hai
mohabbat karne vaale se mohabbat kaun kartā hai
kabhī ā.īna le kar husn se apnī zarā pūchho
nazar ko dil ko pāband-e-mohabbat kaun kartā hai
mohabbat maiñ bhī kartā huuñ mohabbat tum bhī kartī ho
magar donoñ meñ muñh-dekhī mohabbat kaun kartā hai
sharīk-e-zindagī ho kar mirā tum saath kyā dogī
kisī ke rañj par qurbān rāhat kaun kartā hai
tumheñ zo.am-e-mohabbat hai mujhe bhī hai magar ai jaañ
tum apnī dil se hī pūchho mohabbat kaun kartā hai
javānī ke nikharte husn kī andāz se pūchho
mire ḳhvābīda jazboñ se sharārat kaun kartā hai
ġhalat ilzām hai mujh par mire barbād hone kā
ḳhud apne vāste paidā musībat kaun kartā hai
TaTolo apne dil ko aur apne dil se hī pūchho
ki ye mere liye sāmān-e-vahshat kaun kartā hai
ġharaz-mandī tak ai 'afzal' mohabbat sab ko hotī hai
mohabbat āj-kal hasb-e-mohabbat kaun kartā hai
baghair apne kisi matlab ke ulfat kaun karta hai
ye duniya hai yahan be-laus chahat kaun karta hai
gawara lutf-farmani ki zahmat kaun karta hai
mohabbat karne wale se mohabbat kaun karta hai
kabhi aaina le kar husn se apni zara puchho
nazar ko dil ko paband-e-mohabbat kaun karta hai
mohabbat main bhi karta hun mohabbat tum bhi karti ho
magar donon mein munh-dekhi mohabbat kaun karta hai
sharik-e-zindagi ho kar mera tum sath kya dogi
kisi ke ranj par qurban rahat kaun karta hai
tumhein zoam-e-mohabbat hai mujhe bhi hai magar ai jaan
tum apni dil se hi puchho mohabbat kaun karta hai
jawani ke nikharte husn ki andaz se puchho
mere KHwabida jazbon se shararat kaun karta hai
ghalat ilzam hai mujh par mere barbaad hone ka
KHud apne waste paida musibat kaun karta hai
TaTolo apne dil ko aur apne dil se hi puchho
ki ye mere liye saman-e-wahshat kaun karta hai
gharaz-mandi tak ai 'afzal' mohabbat sab ko hoti hai
mohabbat aaj-kal hasb-e-mohabbat kaun karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.