baghair naqshe ke sare makan lagte hain
baġhair naqshe ke saare makān lagte haiñ
ye jitne ghar haiñ qazā kī dukān lagte haiñ
kabhī to sach kabhī bilkul gumān lagte haiñ
nafīs log haiñ jādū-bayān lagte haiñ
ye Thekedār 'imārat ke ye zamīñ vaale
gire jo ghar to bahut be-zabān lagte haiñ
maiñ un meñ aaj bhī bachpan talāsh kartā huuñ
maiñ ḳhush nahīñ huuñ jo bachche javān lagte haiñ
vo merā bhaa.ī nahīñ par vo koī vaar sahe
mirī bhī piiTh pe niile nishān lagte haiñ
qarīb aa.eñ to chhoTā sā qad nikālte haiñ
ye log duur se kitne mahān lagte haiñ
baghair naqshe ke sare makan lagte hain
ye jitne ghar hain qaza ki dukan lagte hain
kabhi to sach kabhi bilkul guman lagte hain
nafis log hain jadu-bayan lagte hain
ye Thekedar 'imarat ke ye zamin wale
gire jo ghar to bahut be-zaban lagte hain
main un mein aaj bhi bachpan talash karta hun
main KHush nahin hun jo bachche jawan lagte hain
wo mera bhai nahin par wo koi war sahe
meri bhi piTh pe nile nishan lagte hain
qarib aaen to chhoTa sa qad nikalte hain
ye log dur se kitne mahan lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.