Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baghair tere hon mah-o-anjum ki shisha-o-jam bujh gae hain

Payam Fatehpuri

baghair tere hon mah-o-anjum ki shisha-o-jam bujh gae hain

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    baġhair tere hoñ māh-o-anjum ki shīsha-o-jām bujh ga.e haiñ

    jale the kitne charāġh lekin sabhī sar-e-shām bujh ga.e haiñ

    vahī hai qānūn-e-jurm-e-ulfat diloñ pe qaideñ laboñ pe pahre

    diloñ ke naġhmāt ruk ga.e haiñ laboñ ke paiġhām bujh ga.e haiñ

    na us ke ruḳhsār shafaq hai na aarzū koī kiran hai

    sahar ye kaisī sahar hai yaaro ki sab dar-o-bām bujh ga.e haiñ

    huā hai vīrān shahr-e-dil yuuñ ki jaise vīrāñ huā ho mandir

    koī sanam-ḳhāna luT gayā hai ki rū-e-asnām bujh ga.e haiñ

    haiñ dasht-e-ġhurbat meñ pā-barahna na jaane kitne 'mīr'-o-'ġhālib'

    udaas mai-ḳhānoñ fazāoñ meñ kitne ḳhayyām bujh ga.e haiñ

    'payām' maqtūl ārzūoñ ik janāza hai zindagī bhī

    thī jis se har anjuman charāġhāñ vo dil tah-e-dām bujh ga.e haiñ

    baghair tere hon mah-o-anjum ki shisha-o-jam bujh gae hain

    jale the kitne charagh lekin sabhi sar-e-sham bujh gae hain

    wahi hai qanun-e-jurm-e-ulfat dilon pe qaiden labon pe pahre

    dilon ke naghmat ruk gae hain labon ke paigham bujh gae hain

    na us ke ruKHsar ki shafaq hai na aarzu ki koi kiran hai

    sahar ye kaisi sahar hai yaro ki sab dar-o-baam bujh gae hain

    hua hai viran shahr-e-dil yun ki jaise viran hua ho mandir

    koi sanam-KHana luT gaya hai ki ru-e-asnam bujh gae hain

    hain dasht-e-ghurbat mein pa-barahna na jaane kitne hi 'mir'-o-'ghaalib'

    udas mai-KHanon ki fazaon mein kitne KHayyam bujh gae hain

    'payam' maqtul aarzuon ka ek janaza hai zindagi bhi

    thi jis se har anjuman charaghan wo dil tah-e-dam bujh gae hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now