bahaar aai hai aalam mein ajab wahshat ka saman hai
bahār aa.ī hai aalam meñ ajab vahshat kā sāmāñ hai
bayābāñ meñ kabhī ghar hai kabhī ghar meñ bayābāñ hai
mirī pābandiyāñ hī jab mirī āzādiyāñ Thahrīñ
to gulshan ho ki sahrā sab mirī nazroñ meñ zindāñ hai
har ik sarmast-e-irfāñ hai magar hai farq bas itnā
kahīñ dariyā meñ qatra hai kahīñ qatre meñ tūfāñ hai
chaman meñ phuul haiñ phūloñ pe kuchh bikhre hue tinke
mirā ujḌā nasheman bhī gulistāñ-dar-gulistāñ hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā duā kis chiiz kī māñgūñ
kabhī jiine kī ḳhvāhish hai kabhī marne kā armāñ hai
kahāñ kā qissa hai āḳhir ye dil meñ kyā samā.ī hai
palaT jaao palaT jaao idhar gor-e-ġharībāñ hai
na chhoḌā farq kuchh vahshat ne mere jeb-o-dāmāñ meñ
garebāñ hai jo dāman hai jo dāman hai garebāñ hai
rukī hai lab pe jaañ aakar pe ab to maut bhī 'ālī'
ajab kuchh kashmakash meñ hai na mushkil hai na āsāñ hai
bahaar aai hai aalam mein ajab wahshat ka saman hai
bayaban mein kabhi ghar hai kabhi ghar mein bayaban hai
meri pabandiyan hi jab meri aazadiyan Thahrin
to gulshan ho ki sahra sab meri nazron mein zindan hai
har ek sarmast-e-irfan hai magar hai farq bas itna
kahin dariya mein qatra hai kahin qatre mein tufan hai
chaman mein phul hain phulon pe kuchh bikhre hue tinke
mera ujDa nasheman bhi gulistan-dar-gulistan hai
samajh mein kuchh nahin aata dua kis chiz ki mangun
kabhi jine ki KHwahish hai kabhi marne ka arman hai
kahan ka qissa hai aaKHir ye dil mein kya samai hai
palaT jao palaT jao idhar gor-e-ghariban hai
na chhoDa farq kuchh wahshat ne mere jeb-o-daman mein
gareban hai jo daman hai jo daman hai gareban hai
ruki hai lab pe jaan aakar pe ab to maut bhi 'ali'
ajab kuchh kashmakash mein hai na mushkil hai na aasan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.