bahaar aai hai sote ko Tuk jaga dena
bahār aa.ī hai sote ko Tuk jagā denā
junūñ zarā mirī zanjīr ko hilā denā
tire laboñ se agar ho sake masīhā.ī
to ek baat meñ jiitā huuñ maiñ jilā denā
ab aage dekhiyo jītūñ na jītūñ yā qismat
mirī bisāt meñ dil hai ise lagā denā
rahūñ na garmī-e-majlis se maiñ tirī mahrūm
sipand-vār mujhe bhī zarā tū jā denā
ḳhudā kare tirī zulf-e-siyah kī umr darāz
kabhī balā mujhe lenā kabhī duā denā
ba-rañg-e-ġhuncha zar-e-gul ke ta.iiñ girah mat bāñdh
'fuġhāñ' jo haath meñ aave use uḌā denā
bahaar aai hai sote ko Tuk jaga dena
junun zara meri zanjir ko hila dena
tere labon se agar ho sake masihai
to ek baat mein jita hun main jila dena
ab aage dekhiyo jitun na jitun ya qismat
meri bisat mein dil hai ise laga dena
rahun na garmi-e-majlis se main teri mahrum
sipand-war mujhe bhi zara tu ja dena
KHuda kare teri zulf-e-siyah ki umr daraaz
kabhi bala mujhe lena kabhi dua dena
ba-rang-e-ghuncha zar-e-gul ke tain girah mat bandh
'fughan' jo hath mein aawe use uDa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.