bahaar aai magar KHayali
bahār aa.ī magar ḳhayālī
sabā ne phūloñ pe ḳhaak Daalī
maiñ kis ko apnā harīf samjhūñ
ki sab kī sūrat hai bholī-bhālī
haqīqatoñ pe nigāh rakkho
nahīñ hai sab kuchh yahāñ ḳhayālī
kalī ne shāyad ki paT haiñ khole
asar chaman meñ hai Daalī Daalī
na barq-e-sozāñ na bād-e-sar-sar
guloñ kā qātil chaman kā vaalī
vahī hai sab se aziim fāteh
vo aaj jis ne hayā bachā lī
koī na hogā harīf 'ārif'
jo us ne teġh-o-sipar sambhālī
bahaar aai magar KHayali
saba ne phulon pe KHak Dali
main kis ko apna harif samjhun
ki sab ki surat hai bholi-bhaali
haqiqaton pe nigah rakkho
nahin hai sab kuchh yahan KHayali
kali ne shayad ki paT hain khole
asar chaman mein hai Dali Dali
na barq-e-sozan na baad-e-sar-sar
gulon ka qatil chaman ka wali
wahi hai sab se azim fateh
wo aaj jis ne haya bacha li
koi na hoga harif 'arif'
jo us ne tegh-o-sipar sambhaali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.