bahaar ban ke mere har nafas pe chhai ho
bahār ban ke mire har nafas pe chhā.ī ho
ajab adā se mirī zindagī meñ aa.ī ho
tumhārā husn vo tasvīr-e-husn-e-kāmil hai
ḳhudā ne ḳhaas hī lamhoñ meñ jo banā.ī ho
sharāb hai na subū hai magar ye aalam hai
kisī ne jaise nigāhoñ se mai pilā.ī ho
tirī tarah hī gurezāñ hai niiñd bhī mujh se
qasam hai terī jo ab tak qarīb aa.ī ho
tū us nigāh se pī vaqt-e-mai-kashī 'tābāñ'
kī jis nigāh pe qurbān pārsā.ī ho
bahaar ban ke mere har nafas pe chhai ho
ajab ada se meri zindagi mein aai ho
tumhaara husn wo taswir-e-husn-e-kaamil hai
KHuda ne KHas hi lamhon mein jo banai ho
sharab hai na subu hai magar ye aalam hai
kisi ne jaise nigahon se mai pilai ho
teri tarah hi gurezan hai nind bhi mujh se
qasam hai teri jo ab tak qarib aai ho
tu us nigah se pi waqt-e-mai-kashi 'taban'
ki jis nigah pe qurban parsai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.