bahaar-e-subh ajab rang-o-bu mein guzri hai
bahār-e-sub.h ajab rang-o-bū meñ guzrī hai
kalī kalī ye lage hai lahū meñ guzrī hai
mire shu.ūr ke tāroñ ko chheḌne vaale
tamām umr tirī justujū meñ guzrī hai
tire sivā na mujhe yaad aa sakā koī
tamām umr mirī tū hī tū maiñ guzrī hai
vo bad-nasīb jise koī āstāñ na milā
hayāt us kī ġham-e-kū-ba-kū meñ guzrī hai
mushāhida hai mirā ye ki bāġh-e-ālam meñ
har ik daraḳht kī shauq-e-numū meñ guzrī hai
kisī bhī gul se tire jism kī mahak mil jaa.e
chaman se sub.h isī aarzū meñ guzrī hai
mazā milā hai ye khetī kī aarzū kar ke
kaTī hai tez do-pahrī meñ lū meñ guzrī hai
ajiib hai ye zamāne kā gulsitāñ jis meñ
har ek phuul kī apnī hī bū meñ guzrī hai
kisī kī teġh-e-nazar se jo pyaar thā 'manzil'
tamām umr nahāte lahū meñ guzrī hai
bahaar-e-subh ajab rang-o-bu mein guzri hai
kali kali ye lage hai lahu mein guzri hai
mere shuur ke taron ko chheDne wale
tamam umr teri justuju mein guzri hai
tere siwa na mujhe yaad aa saka koi
tamam umr meri tu hi tu main guzri hai
wo bad-nasib jise koi aastan na mila
hayat us ki gham-e-ku-ba-ku mein guzri hai
mushahida hai mera ye ki bagh-e-alam mein
har ek daraKHt ki shauq-e-numu mein guzri hai
kisi bhi gul se tere jism ki mahak mil jae
chaman se subh isi aarzu mein guzri hai
maza mila hai ye kheti ki aarzu kar ke
kaTi hai tez do-pahri mein lu mein guzri hai
ajib hai ye zamane ka gulsitan jis mein
har ek phul ki apni hi bu mein guzri hai
kisi ki tegh-e-nazar se jo pyar tha 'manzil'
tamam umr nahate lahu mein guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.