bahaaren rang lati hain chaman aabaad hota hai
bahāreñ rang laatī haiñ chaman ābād hotā hai
ki jab nāzuk laboñ se husn kā irshād hotā hai
hasīnoñ kī adāoñ ke asar-andāz hote hī
kabhī dil shaad hotā hai kabhī nāshād hotā hai
ijāzat jab nahīñ miltī use naġhma-sarā.ī kī
to bulbul kī ḳhamoshī se chaman barbād hotā hai
vo apnī jaan kī baazī lagā.e to lagā.e kyoñ
ki naḳhra husn kā jis ke liye jallād hotā hai
nigāhoñ se paḌhī jaatī hai tahrīr-e-ruḳh-e-raushan
nigāhoñ se adā-bīnī kā fan ījād hotā hai
adā-e-husn bhī ik chashma-e-tahrīk hai sāhab
use apnā le jo bhī bas vahī shah-zād hotā hai
usī ko karnā hotī hai alam kī tarjumānī bhī
mire hoñToñ pe jo bhī jumla-e-fariyād hotā hai
kisī ko bhī yaqīñ hotā nahīñ hai apnī āñkhoñ par
qafas meñ jab parinde kī jagah sayyād hotā hai
usī par naaz kartī hai hamesha haath kī rekhā
ki jis kī muTThī meñ bhī virsa-e-ajdād hotā hai
hamesha sar jhukātā hai 'jigar' sāhab kī dhartī par
ki jaanā jab bhī panchhī kā murādābād hotā hai
bahaaren rang lati hain chaman aabaad hota hai
ki jab nazuk labon se husn ka irshad hota hai
hasinon ki adaon ke asar-andaz hote hi
kabhi dil shad hota hai kabhi nashad hota hai
ijazat jab nahin milti use naghma-sarai ki
to bulbul ki KHamoshi se chaman barbaad hota hai
wo apni jaan ki bazi lagae to lagae kyon
ki naKHra husn ka jis ke liye jallad hota hai
nigahon se paDhi jati hai tahrir-e-ruKH-e-raushan
nigahon se ada-bini ka fan ijad hota hai
ada-e-husn bhi ek chashma-e-tahrik hai sahab
use apna le jo bhi bas wahi shah-zad hota hai
usi ko karna hoti hai alam ki tarjumani bhi
mere honTon pe jo bhi jumla-e-fariyaad hota hai
kisi ko bhi yaqin hota nahin hai apni aankhon par
qafas mein jab parinde ki jagah sayyaad hota hai
usi par naz karti hai hamesha hath ki rekha
ki jis ki muTThi mein bhi wirsa-e-ajdad hota hai
hamesha sar jhukata hai 'jigar' sahab ki dharti par
ki jaana jab bhi panchhi ka muradabaad hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.