bahaaro mera jiwan bhi sanwaro
bahāro merā jīvan bhī sañvāro
koī aa.e kahīñ se yuuñ pukāro
tumhīñ se dil ne sīkhā hai taḌapnā
tumhīñ ko dosh dūñgī ai nazāro
sajāo koī kajrā laao gajrā
lachaktī Dāliyo tum phuul vaaro
rachāo mere in hāthoñ meñ mehñdī
sajāo maañg merī yā sidhāro
na jaane kis kā saaya dil se guzrā
zarā āvāz denā rāzdāro
bahaaro mera jiwan bhi sanwaro
koi aae kahin se yun pukaro
tumhin se dil ne sikha hai taDapna
tumhin ko dosh dungi ai nazaro
sajao koi kajra lao gajra
lachakti Daliyo tum phul waro
rachao mere in hathon mein mehndi
sajao mang meri ya sidhaaro
na jaane kis ka saya dil se guzra
zara aawaz dena raazdaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.