bahki bahki hui chalti hai hawa aaKHir-e-shab
bahki bahki hui chalti hai hawa aaKHir-e-shab
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
bahkī bahkī huī chaltī hai havā āḳhir-e-shab
band kartā hai koī band-e-qabā āḳhir-e-shab
shab-e-rafta kī kahānī na kahīñ dohrā de
duur se aatī huī terī sadā āḳhir-e-shab
āḳhir-e-shab meñ hī asrār-e-badan khulte haiñ
chāñd kartā hai tire haq meñ du'ā āḳhir-e-shab
āḳhir-e-shab meñ hī hotā hai tasarruf ḳhud par
rag-e-jāñ meñ utar aatā hai ḳhudā āḳhir-e-shab
phaḌ.phaḌāte hue shāḳhoñ se parinda niklā
duur sannāTe meñ ik shor uThā āḳhir-e-shab
bahki bahki hui chalti hai hawa aaKHir-e-shab
band karta hai koi band-e-qaba aaKHir-e-shab
shab-e-rafta ki kahani na kahin dohra de
dur se aati hui teri sada aaKHir-e-shab
aaKHir-e-shab mein hi asrar-e-badan khulte hain
chand karta hai tere haq mein du'a aaKHir-e-shab
aaKHir-e-shab mein hi hota hai tasarruf KHud par
rag-e-jaan mein utar aata hai KHuda aaKHir-e-shab
phaDphaDate hue shaKHon se parinda nikla
dur sannaTe mein ek shor uTha aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.