bahs mein donon ko lutf aata raha
bahs meñ donoñ ko lutf aatā rahā
mujh ko dil maiñ dil ko samjhātā rahā
un kī mahfil meñ dil-e-pur-iztirāb
ek sho.ala thā jo tharrātā rahā
maut ke dhoke meñ ham kyuuñ aa ga.e
zindagī kā bhī mazā jaatā rahā
nā-shagufta hī rahī dil kī kalī
mausam-e-gul bār-hā aatā rahā
jab se tum ne dushmanī kī iḳhtiyār
e'tibār-e-dostī jaatā rahā
apnī hī zid kī dil-e-betāb ne
un ke dar tak bhī maiñ samjhātā rahā
jaur to ai 'josh' āḳhir jaur hai
lutf bhī un kā sitam Dhātā rahā
bahs mein donon ko lutf aata raha
mujh ko dil main dil ko samjhata raha
un ki mahfil mein dil-e-pur-iztirab
ek shoala tha jo tharraata raha
maut ke dhoke mein hum kyun aa gae
zindagi ka bhi maza jata raha
na-shagufta hi rahi dil ki kali
mausam-e-gul bar-ha aata raha
jab se tum ne dushmani ki iKHtiyar
e'tibar-e-dosti jata raha
apni hi zid ki dil-e-betab ne
un ke dar tak bhi main samjhata raha
jaur to ai 'josh' aaKHir jaur hai
lutf bhi un ka sitam Dhata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.