bahta hua dariya hun kahin par tha kahin hun
bahtā huā dariyā huuñ kahīñ par thā kahīñ huuñ
maiñ lamha-e-maujūd kā pāband nahīñ huuñ
vābasta huuñ ik silsila-e-ishq se lekin
maiñ chāk-e-garebāñ huuñ na maiñ ḳhāk-nashīñ huuñ
ai dil-zadagānoñ ke masīhā mujhe batlāo
kyā maiñ tirī fihrist-e-dil-o-jāñ meñ kahīñ huuñ
maḳhsūs hai jo sirf tire husn-e-nazar se
us aañkh se dekhe koī mujh ko to hasīñ huuñ
dildār nigāhoñ ke ishāroñ se balā le
maiñ terī pahuñch se abhī bāhar bhī nahīñ huuñ
hai ab bhī vahī dil ke dhaḌakne kī kahānī
tū mujh ko jahāñ chhoḌ gayā thā maiñ vahīñ huuñ
bahta hua dariya hun kahin par tha kahin hun
main lamha-e-maujud ka paband nahin hun
wabasta hun ek silsila-e-ishq se lekin
main chaak-e-gareban hun na main KHak-nashin hun
ai dil-zadaganon ke masiha mujhe batlao
kya main teri fihrist-e-dil-o-jaan mein kahin hun
maKHsus hai jo sirf tere husn-e-nazar se
us aankh se dekhe koi mujh ko to hasin hun
dildar nigahon ke ishaaron se bala le
main teri pahunch se abhi bahar bhi nahin hun
hai ab bhi wahi dil ke dhaDakne ki kahani
tu mujh ko jahan chhoD gaya tha main wahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.