bahte hue ashkon ki rawani nahin likkhi
bahte hue ashkoñ kī ravānī nahīñ likkhī
maiñ ne ġham-e-hijrāñ kī kahānī nahīñ likkhī
jis din se tire haath se chhūTā hai mirā haath
us din se koī shaam suhānī nahīñ likkhī
kyā jāniye kyā soch ke afsurda huā dil
maiñ ne to koī baat purānī nahīñ likkhī
alfāz se kāġhaz pe sajā.ī hai jo duniyā
juz apne koī chiiz bhī faanī nahīñ likkhī
tash.hīr to maqsūd nahīñ qissa-e-dil kī
so tujh ko likhā terī nishānī nahīñ likkhī
bahte hue ashkon ki rawani nahin likkhi
main ne gham-e-hijran ki kahani nahin likkhi
jis din se tere hath se chhuTa hai mera hath
us din se koi sham suhani nahin likkhi
kya jaaniye kya soch ke afsurda hua dil
main ne to koi baat purani nahin likkhi
alfaz se kaghaz pe sajai hai jo duniya
juz apne koi chiz bhi fani nahin likkhi
tashhir to maqsud nahin qissa-e-dil ki
so tujh ko likha teri nishani nahin likkhi
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 190)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.