bahut aazad hoti ja rahi hai
bahut āzād hotī jā rahī hai
ġhazal barbād hotī jā rahī hai
ḳhudā mahfūz rakhe manchaloñ ko
galī ābād hotī jā rahī hai
kabūtar chhat pe tum aane se roko
nazar sayyād hotī jā rahī hai
kahīñ na karbalā ban jaa.e duniyā
zamīñ baġhdād hotī jā rahī hai
na jaane kyoñ jihādī zehniyat hai
talab meñ shaad hotī jā rahī hai
bahut aazad hoti ja rahi hai
ghazal barbaad hoti ja rahi hai
KHuda mahfuz rakhe manchalon ko
gali aabaad hoti ja rahi hai
kabutar chhat pe tum aane se roko
nazar sayyaad hoti ja rahi hai
kahin na karbala ban jae duniya
zamin baghdad hoti ja rahi hai
na jaane kyon jihadi zehniyat hai
talab mein shad hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.