bahut arse talak sahra raha hai
bahut 'arse talak sahrā rahā hai
abhī dariyā se milne jā rahā hai
kisī se milne jaane kī ḳhabar hai
qamīzeñ kyoñ na.ī silvā rahā hai
na vo nazroñ se ojhal ho rahā hai
na mere dil ke bhītar aa rahā hai
mujhe lagne lagī hai us kī 'ādat
jo saarī 'ādateñ chhuḌvā rahā hai
mirī āñkheñ bhī ab be-nīnd hoñgī
koī apnā safar meñ jā rahā hai
bahut 'arse talak sahra raha hai
abhi dariya se milne ja raha hai
kisi se milne jaane ki KHabar hai
qamizen kyon nai silwa raha hai
na wo nazron se ojhal ho raha hai
na mere dil ke bhitar aa raha hai
mujhe lagne lagi hai us ki 'adat
jo sari 'adaten chhuDwa raha hai
meri aankhen bhi ab be-nind hongi
koi apna safar mein ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.