bahut baaten hui hain tazgi ki
bahut bāteñ huī haiñ tāzgī kī
ġhazal kī qāfiye kī shā.irī kī
merī āñkhoñ ne dil se baat chheḌī
huī charchā tumhārī sādgī kī
hasīñ duniyā meñ hoñge aur bhī par
alag hī baat hai tujh surma.ī kī
tujhe chhūne se bhī katrā rahā huuñ
mohabbat hai merī pākīzgī kī
ab is ke baad baaqī kyā rahegā
tū mūrat āḳhirī hai is sadī kī
bahut baaten hui hain tazgi ki
ghazal ki qafiye ki shairi ki
meri aankhon ne dil se baat chheDi
hui charcha tumhaari sadgi ki
hasin duniya mein honge aur bhi par
alag hi baat hai tujh surmai ki
tujhe chhune se bhi katra raha hun
mohabbat hai meri pakizgi ki
ab is ke baad baqi kya rahega
tu murat aaKHiri hai is sadi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.