bahut be-zar hoti ja rahi hun
bahut be-zār hotī jā rahī huuñ
maiñ ḳhud par baar hotī jā rahī huuñ
tumheñ iqrār ke raste pe lā kar
maiñ ḳhud inkār hotī jā rahī huuñ
kahīñ maiñ huuñ sarāpā rahguzar aur
kaheñ dīvār hotī jā rahī huuñ
bahut muddat se apnī khoj meñ thī
so ab iz.hār hotī jā rahī huuñ
bhañvar dil kī tahoñ meñ ban rahe haiñ
maiñ be-patvār hotī jā rahī huuñ
tumhārī guftugū ke darmiyāñ ab
yūñhī takrār hotī jā rahī huuñ
ye koī ḳhvāb karvaT le rahā hai
ki maiñ be-dār hotī jā rahī huuñ
kisī lahje kī narmī khul rahī hai
bahut sarshār hotī jā rahī huuñ
mirā tesha zamīñ meñ gaḌ gayā hai
junūñ kī haar hotī jā rahī huuñ
bahut be-zar hoti ja rahi hun
main KHud par bar hoti ja rahi hun
tumhein iqrar ke raste pe la kar
main KHud inkar hoti ja rahi hun
kahin main hun sarapa rahguzar aur
kahen diwar hoti ja rahi hun
bahut muddat se apni khoj mein thi
so ab izhaar hoti ja rahi hun
bhanwar dil ki tahon mein ban rahe hain
main be-patwar hoti ja rahi hun
tumhaari guftugu ke darmiyan ab
yunhi takrar hoti ja rahi hun
ye koi KHwab karwaT le raha hai
ki main be-dar hoti ja rahi hun
kisi lahje ki narmi khul rahi hai
bahut sarshaar hoti ja rahi hun
mera tesha zamin mein gaD gaya hai
junun ki haar hoti ja rahi hun
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 152)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.