bahut bura hun meri jaan bahut bura hun main
bahut bura hun meri jaan bahut bura hun main
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
bahut burā huuñ mirī jaañ bahut burā huuñ maiñ
ḳhulūs dekh mirā ḳhud ye kah rahā huuñ maiñ
kuchh ik burā.iyāñ mujh meñ azal se Thahrī haiñ
kuchh is zamāne meñ aa kar burā huā huuñ maiñ
ye shā.irī nahīñ dar-asl ek parda hai
baġhair shor kiye jis meñ chīḳhtā huuñ maiñ
agar kisī ko milūñ to mujhe ḳhabar kar de
patā chalā hai ki kuchh din se gum-shuda huuñ maiñ
guzarte vaqt kī aadat hai sab badal denā
jahāñ kabhī maiñ ziyāda thā ab zarā huuñ maiñ
mujhe samajhnā bhalā sab kī dastaras meñ kahāñ
koī kahānī maiñ thoḌī huuñ falsafa huuñ maiñ
zarā sā vaqt hai phir vaqt hī batā.egā
ki sach meñ kaun huuñ kaisā huuñ aur kyā huuñ maiñ
bahut bura hun meri jaan bahut bura hun main
KHulus dekh mera KHud ye kah raha hun main
kuchh ek buraiyan mujh mein azal se Thahri hain
kuchh is zamane mein aa kar bura hua hun main
ye shairi nahin dar-asl ek parda hai
baghair shor kiye jis mein chiKHta hun main
agar kisi ko milun to mujhe KHabar kar de
pata chala hai ki kuchh din se gum-shuda hun main
guzarte waqt ki aadat hai sab badal dena
jahan kabhi main ziyaada tha ab zara hun main
mujhe samajhna bhala sab ki dastaras mein kahan
koi kahani main thoDi hun falsafa hun main
zara sa waqt hai phir waqt hi bataega
ki sach mein kaun hun kaisa hun aur kya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.