Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut din tak koi chehra mujhe achchha nahin lagta

Hashim Raza Jalalpuri

bahut din tak koi chehra mujhe achchha nahin lagta

Hashim Raza Jalalpuri

MORE BYHashim Raza Jalalpuri

    bahut din tak koī chehra mujhe achchhā nahīñ lagtā

    matā-e-dīd pe qabza mujhe achchhā nahīñ lagtā

    kanīzoñ pe bhī aa saktā hai dil zill-e-ilāhī

    nizām-e-ishq meñ shajara mujhe achchhā nahīñ lagtā

    maiñ kuchh bhī soch saktā huuñ maiñ kuchh bhī dekh saktā huuñ

    ḳhayāl-o-ḳhvāb pe pahra mujhe achchhā nahīñ lagtā

    na khiḌkī hai na āñgan hai na roshan-dān hai koī

    imārat-sāz ye naqsha mujhe achchhā nahīñ lagtā

    jo hotī haath meñ mere to duniyā baañT detā maiñ

    kisī ke haath meñ kaasa mujhe achchhā nahīñ lagtā

    bahut din tak koi chehra mujhe achchha nahin lagta

    mata-e-did pe qabza mujhe achchha nahin lagta

    kanizon pe bhi aa sakta hai dil zill-e-ilahi ka

    nizam-e-ishq mein shajara mujhe achchha nahin lagta

    main kuchh bhi soch sakta hun main kuchh bhi dekh sakta hun

    KHayal-o-KHwab pe pahra mujhe achchha nahin lagta

    na khiDki hai na aangan hai na roshan-dan hai koi

    imarat-saz ye naqsha mujhe achchha nahin lagta

    jo hoti hath mein mere to duniya banT deta main

    kisi ke hath mein kasa mujhe achchha nahin lagta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now