bahut dinon mein kahin raste badalte the
bahut dinoñ meñ kahīñ rāste badalte the
vo log kaise the jo saath saath chalte the
vo kār-gah na rahī aur na vo sifāl rahī
ḳhudā ke daur meñ kyā aadmī nikalte the
zarā se rizq meñ barkat bhī kitnī hotī thī
aur ik charāġh se kitne charāġh jalte the
guzārne kī vo sūrat qayām-e-ḳhvāb meñ thī
jahāñ se aur ka.ī rāste nikalte the
falak pe apnā baserā thā aur ham aksar
falak ke āḳhirī kone pe jā nikalte the
bahut dinon mein kahin raste badalte the
wo log kaise the jo sath sath chalte the
wo kar-gah na rahi aur na wo sifal rahi
KHuda ke daur mein kya aadmi nikalte the
zara se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ek charagh se kitne charagh jalte the
guzarne ki wo surat qayam-e-KHwab mein thi
jahan se aur kai raste nikalte the
falak pe apna basera tha aur hum aksar
falak ke aaKHiri kone pe ja nikalte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.