bahut dinon se kisi ke gulu ka pyasa hai
bahut dinoñ se kisī ke gulū kā pyāsā hai
bacho ki ḳhanjar-e-qātil lahū kā pyāsā hai
shabāb apnā chhupā le to mere dāman meñ
har ek shaḳhs tirī aabrū kā pyāsā hai
javāñ huā hai mirī shafqatoñ ke saa.e meñ
vo shaḳhs aaj jo mere lahū kā pyāsā hai
vo aam chehroñ kā mushtāq ho nahīñ saktā
jo zauq-e-dīd kisī ḳhūb-rū kā pyāsā hai
abhī bhī guuñj rahī hai fazā meñ terī sadā
abhī bhī zehn tirī guftugū kā pyāsā hai
bahut dinon se kisi ke gulu ka pyasa hai
bacho ki KHanjar-e-qatil lahu ka pyasa hai
shabab apna chhupa le to mere daman mein
har ek shaKHs teri aabru ka pyasa hai
jawan hua hai meri shafqaton ke sae mein
wo shaKHs aaj jo mere lahu ka pyasa hai
wo aam chehron ka mushtaq ho nahin sakta
jo zauq-e-did kisi KHub-ru ka pyasa hai
abhi bhi gunj rahi hai faza mein teri sada
abhi bhi zehn teri guftugu ka pyasa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.