bahut hai naz tujhe shahd ke hain nal tere honT
bahut hai naaz tujhe shahd ke haiñ nal tire hoñT
kareñ jo kar sakeñ sairāb dil kā thal tire hoñT
ruvāñ-ruvāñ hama-tan-gosh ho ke suntā hai
suḳhan-suḳhan tirī āñkheñ ġhazal-ġhazal tire hoñT
ye kā.enāt kī talḳhī ko thūkne vaale
balā kā sabr kiye jaa.eñ gar hoñ phal tire hoñT
sukūt-e-dahr mirī shāh-rag katar jaatā
agar na hilte mirī jaan bar-mahal tire hoñT
bahār bhar dī hai tujh meñ 'zubair' kyā us ne
bahut gulāb girāte haiñ āj-kal tire hoñT
bahut hai naz tujhe shahd ke hain nal tere honT
karen jo kar saken sairab dil ka thal tere honT
ruwan-ruwan hama-tan-gosh ho ke sunta hai
suKHan-suKHan teri aankhen ghazal-ghazal tere honT
ye kaenat ki talKHi ko thukne wale
bala ka sabr kiye jaen gar hon phal tere honT
sukut-e-dahr meri shah-rag katar jata
agar na hilte meri jaan bar-mahal tere honT
bahaar bhar di hai tujh mein 'zubair' kya us ne
bahut gulab giraate hain aaj-kal tere honT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.