bahut haqir hain hum ye guman badal Dalo
bahut haqīr haiñ ham ye gumāñ badal Daalo
uTho aur uTh ke ye tafsīr-e-jāñ badal Daalo
nigāh rahtī ho mahdūd jin kī phūloñ tak
tum aise tang-nazar bāġhbāñ badal Daalo
fazā-e-amn agar zindagī kī qātil ho
to inqilāb se amn-o-amāñ badal Daalo
ufuq pe surḳhī-e-azm-o-amal jhalak uTThī
nuzūl-e-sub.h hai ḳhvāb-e-girāñ badal Daalo
qadīm-o-kohna adab mohtaram sahī lekin
na.ī talāsh se tarz-e-bayāñ badal Daalo
'vaqār' ziist se paidā karo na.ī tārīḳh
jo sāzgār na hoñ surḳhiyāñ badal Daalo
bahut haqir hain hum ye guman badal Dalo
uTho aur uTh ke ye tafsir-e-jaan badal Dalo
nigah rahti ho mahdud jin ki phulon tak
tum aise tang-nazar baghban badal Dalo
faza-e-amn agar zindagi ki qatil ho
to inqilab se amn-o-aman badal Dalo
ufuq pe surKHi-e-azm-o-amal jhalak uTThi
nuzul-e-subh hai KHwab-e-giran badal Dalo
qadim-o-kohna adab mohtaram sahi lekin
nai talash se tarz-e-bayan badal Dalo
'waqar' zist se paida karo nai tariKH
jo sazgar na hon surKHiyan badal Dalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.