bahut ho chuka khel ab KHatm ho
bahut ho chukā khel ab ḳhatm ho
hue sab se bezār sab ḳhatm ho
tirī raah meñ phir se bichh jā.eñge
ye kār-e-jahāñ ye ġhazab ḳhatm ho
tumheñ bhī dikhā.eñge vo chiiz ham
talāsh-e-dil-e-ḳhush-talab ḳhatm ho
shifā to muqaddar hai bīmār kā
agar muqtazā-e-matab ḳhatm ho
abhī sar jhukāne meñ lazzat nahīñ
adākārī-e-roz-o-shab ḳhatm ho
'ibādī' unhoñ ne kahā aaj phir
kisī tarah ye be-adab ḳhatm ho
bahut ho chuka khel ab KHatm ho
hue sab se bezar sab KHatm ho
teri rah mein phir se bichh jaenge
ye kar-e-jahan ye ghazab KHatm ho
tumhein bhi dikhaenge wo chiz hum
talash-e-dil-e-KHush-talab KHatm ho
shifa to muqaddar hai bimar ka
agar muqtaza-e-matab KHatm ho
abhi sar jhukane mein lazzat nahin
adakari-e-roz-o-shab KHatm ho
'ibaadi' unhon ne kaha aaj phir
kisi tarah ye be-adab KHatm ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.