bahut hua to meri mohabbat teri gali tak safar karegi
bahut huā to mirī mohabbat tirī galī tak safar karegī
gulāb jaisī hikāyatoñ ko idhar udhar mo'atabar karegī
ye terī āñkhoñ kī sub.h-e-ḳhandāñ ye terī zulfoñ kī shām-e-imkāñ
ba-juz qayāmat ye kuchh nahīñ hai tabāh ye sar-basar karegī
ufaq ufaq intiḳhāb-e-jānāñ taraf taraf rañg-o-bū-e-ḳhūbāñ
ik aise aalam meñ shab hamārī charāġh le kar sahar karegī
hamīñ haiñ vāmānda-e-dil-o-jāñ hamīñ haiñ taqrīb-e-dil kā sāmāñ
hamāre raste meñ dasht-o-sahrā kī be-navā.ī bhī ghar karegī
idhar nasheb-e-adam se nikle udhar farāz-e-adam meñ Duube
hameñ ye duniyā firāq de kar kise bahisht-e-nazar karegī
ye shahr-e-gul-e-barg kī havā bhī hamāre haq meñ sumūm Thahrī
ġhazal hameñ itnā yaad rakhnā ye jitnā sarf-e-nazar karegī
bahut hua to meri mohabbat teri gali tak safar karegi
gulab jaisi hikayaton ko idhar udhar mo'atabar karegi
ye teri aankhon ki subh-e-KHandan ye teri zulfon ki sham-e-imkan
ba-juz qayamat ye kuchh nahin hai tabah ye sar-basar karegi
ufaq ufaq intiKHab-e-jaanan taraf taraf rang-o-bu-e-KHuban
ek aise aalam mein shab hamari charagh le kar sahar karegi
hamin hain wamanda-e-dil-o-jaan hamin hain taqrib-e-dil ka saman
hamare raste mein dasht-o-sahra ki be-nawai bhi ghar karegi
idhar nasheb-e-adam se nikle udhar faraaz-e-adam mein Dube
hamein ye duniya firaq de kar kise bahisht-e-nazar karegi
ye shahr-e-gul-e-barg ki hawa bhi hamare haq mein sumum Thahri
ghazal hamein itna yaad rakhna ye jitna sarf-e-nazar karegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.