bahut ji tarasta raha raat bhar
bahut jī tarastā rahā raat bhar
jo ham se bhī mil lo mulāqāt bhar
bisāt-e-tamannā ulaTte ho kyuuñ
ki baazī ye kheleñge ham raat bhar
hai āñkhoñ meñ tūfāñ ba-qadr-e-junūñ
hai dil meñ tamannā ḳharābāt bhar
nahīñ māñgte mastī-e-jāvedāñ
hameñ chāhiye mai mudārāt bhar
zarā dekh lo mere dil kī taraf
ye chhal-bal vadī.at nahīñ raat bhar
ghar aa.ī umañD kar ghaTā chaar or
khulegī tabī'at na barsāt bhar
bahut ji tarasta raha raat bhar
jo hum se bhi mil lo mulaqat bhar
bisat-e-tamanna ulaTte ho kyun
ki bazi ye khelenge hum raat bhar
hai aankhon mein tufan ba-qadr-e-junun
hai dil mein tamanna KHarabaat bhar
nahin mangte masti-e-jawedan
hamein chahiye mai mudaraat bhar
zara dekh lo mere dil ki taraf
ye chhal-bal wadiat nahin raat bhar
ghar aai umanD kar ghaTa chaar or
khulegi tabi'at na barsat bhar
- Book : Ghazalistaan (Pg. 201)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.