bahut KHamosh rah kar jo sadaen mujhko deta tha
bahut ḳhāmosh rah kar jo sadā.eñ mujh ko detā thā
baḌe sundar se jazboñ kī qabā.eñ mujh ko detā thā
kabhī jo dard kī ātish mujhe sulgāne lagtī thī
vo apne saañs kī mahkī havā.eñ mujh ko detā thā
vo us kī chāhateñ bhī to zamāne se anokhī thiiñ
riyāzat ḳhud vo kartā thā jazā.eñ mujh ko detā thā
mire ehsās ke sahrāoñ meñ jo dhuup baḌhtī thī
vo mausam kā ḳhudā ban kar ghaTā.eñ mujh ko detā thā
use maiñ ajnabī samjhā magar har moḌ par 'āshir'
vo apne naam kī saarī duā.eñ mujh ko detā thā
bahut KHamosh rah kar jo sadaen mujh ko deta tha
baDe sundar se jazbon ki qabaen mujh ko deta tha
kabhi jo dard ki aatish mujhe sulgane lagti thi
wo apne sans ki mahki hawaen mujh ko deta tha
wo us ki chahaten bhi to zamane se anokhi thin
riyazat KHud wo karta tha jazaen mujh ko deta tha
mere ehsas ke sahraon mein jo dhup baDhti thi
wo mausam ka KHuda ban kar ghaTaen mujh ko deta tha
use main ajnabi samjha magar har moD par 'ashir'
wo apne nam ki sari duaen mujh ko deta tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 599)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.