bahut kuchh likha hai bahut kuchh likhenge
bahut kuchh likhā hai bahut kuchh likheñge
ye tai hai ki ahl-e-qalam hī raheñge
nahīñ ham nasīboñ se māyūs bilkul
jo ham ban na paa.e vo bachche baneñge
gañvā.e haiñ auqāt apne jinhoñ ne
vahī umr bhar haath malte raheñge
rahegā jo yūñhī sitam kā tasalsul
to tañg aa ke ham bhī baġhāvat kareñge
agar adl se nasl mahrūm hogī
to phir dekhnā log rahzan baneñge
jo kahte haiñ kahte raheñ ahl-e-duniyā
magar ham to 'nāqid' sadā sach kaheñge
bahut kuchh likha hai bahut kuchh likhenge
ye tai hai ki ahl-e-qalam hi rahenge
nahin hum nasibon se mayus bilkul
jo hum ban na pae wo bachche banenge
ganwae hain auqat apne jinhon ne
wahi umr bhar hath malte rahenge
rahega jo yunhi sitam ka tasalsul
to tang aa ke hum bhi baghawat karenge
agar adl se nasl mahrum hogi
to phir dekhna log rahzan banenge
jo kahte hain kahte rahen ahl-e-duniya
magar hum to 'naqid' sada sach kahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.