bahut mushkil sahi lekin ba-sad mushkil bhi dekhenge
bahut mushkil sahi lekin ba-sad mushkil bhi dekhenge
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
bahut mushkil sahī lekin ba-sad mushkil bhī dekheñge
ki anvār-e-haqīqat tālibān-e-dil bhī dekheñge
ḳhudā taufīq de ham ko to dil ko dil bhī dekheñge
inhīñ āñkhoñ se ham āsān har mushkil bhī dekheñge
na kāmil zauq-e-nazāra na shauq-e-jāda-paimā.ī
agar kāmil talab hai to mazāq-e-dil bhī dekheñge
vo kashtī aaj jo Takrā rahī hai mauj-e-tūfāñ se
usī kashtī ko ham ik din sar-e-sāhil bhī dekheñge
dar-e-haidar pe 'qaisar' sar jhukā kisrā kā qaisar kā
gadā-e-kū-e-haidar husn-e-mustaqbil bhī dekheñge
bahut mushkil sahi lekin ba-sad mushkil bhi dekhenge
ki anwar-e-haqiqat taliban-e-dil bhi dekhenge
KHuda taufiq de hum ko to dil ko dil bhi dekhenge
inhin aankhon se hum aasan har mushkil bhi dekhenge
na kaamil zauq-e-nazara na shauq-e-jada-paimai
agar kaamil talab hai to mazaq-e-dil bhi dekhenge
wo kashti aaj jo Takra rahi hai mauj-e-tufan se
usi kashti ko hum ek din sar-e-sahil bhi dekhenge
dar-e-haidar pe 'qaisar' sar jhuka kisra ka qaisar ka
gada-e-ku-e-haidar husn-e-mustaqbil bhi dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.