bahut mushkil tha mujhko rah ka hamwar kar dena
bahut mushkil thā mujh ko raah kā hamvār kar denā
to maiñ ne tai kiyā is dasht ko dīvār kar denā
to kyuuñ is baar us ne mere aage sar jhukāyā hai
use to aaj bhī mushkil na thā inkār kar denā
phir āḳhirkār ye sābit huā manzūr thā tujh ko
hamāre arsa-e-hastī ko bas bekār kar denā
use hai roz paanī kī tarah merī taraf aanā
aur apne jism ko kuchh aur ātish-bār kar denā
vo us kā raat bhar tāmīr karnā mujh ko mushkil se
magar phir sub.h se pahle mujhe mismār kar denā
bahut mushkil tha mujh ko rah ka hamwar kar dena
to main ne tai kiya is dasht ko diwar kar dena
to kyun is bar us ne mere aage sar jhukaya hai
use to aaj bhi mushkil na tha inkar kar dena
phir aaKHirkar ye sabit hua manzur tha tujh ko
hamare arsa-e-hasti ko bas bekar kar dena
use hai roz pani ki tarah meri taraf aana
aur apne jism ko kuchh aur aatish-bar kar dena
wo us ka raat bhar tamir karna mujh ko mushkil se
magar phir subh se pahle mujhe mismar kar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.