Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut rangin dilkash hai majazi pyar ki duniya

Saabir Usmani

bahut rangin dilkash hai majazi pyar ki duniya

Saabir Usmani

MORE BYSaabir Usmani

    bahut rañgīn dilkash hai majāzī pyaar duniyā

    ubharne nahīñ detī lab-o-ruḳhsār duniyā

    zamāna se judā kar de haqīqat ko fanā kar de

    faqat ḳhvāboñ meñ le jaa.e hasīñ dildār duniyā

    yahāñ jhūToñ mela hai jo bole sach akelā hai

    yaqīñ gar hai nahīñ dekho zarā aḳhbār duniyā

    ġharīboñ ko satātī hai amīroñ ko banātī hai

    laḌā kar sirf insāñ ko chale sarkār duniyā

    talab sūraj mat karnā na dāman aag se bharnā

    charāġhoñ se munavvar tum karo ghar-bār duniyā

    zarūrat DhūñDh letī hai ki rasta mil jaatā hai

    kare aadam agar koshish khule asrār duniyā

    bahut rangin dilkash hai majazi pyar ki duniya

    ubharne hi nahin deti lab-o-ruKHsar ki duniya

    zamana se juda kar de haqiqat ko fana kar de

    faqat KHwabon mein le jae hasin dildar ki duniya

    yahan jhuTon ka mela hai jo bole sach akela hai

    yaqin gar hai nahin dekho zara aKHbar ki duniya

    gharibon ko satati hai amiron ko banati hai

    laDa kar sirf insan ko chale sarkar ki duniya

    talab suraj ki mat karna na daman aag se bharna

    charaghon se munawwar tum karo ghar-bar ki duniya

    zarurat DhunDh leti hai ki rasta mil hi jata hai

    kare aadam agar koshish khule asrar ki duniya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now