bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujhko
bahut rusvā kyā is 'āshiqī ne har galī mujh ko
liye phirtī rahī har jā ye merī bekasī mujh ko
chhupā.e se nahīñ chhuptī haqīqat khul hī jaatī hai
sar-e-bāzār le aa.ī mirī dīvāngī mujh ko
ḳhabar kyā thī yahī ik din qayāmat mujh pe Dhā.egī
pasand aa.ī thī bachpan meñ tirī ye sādgī mujh ko
nigāh-e-nāz ne un kī mujhe ik armuġhāñ baḳhshā
milā darbār-e-ulfat se shu.ūr-e-zindagī mujh ko
dil-o-jān-o-jigar qurbān maiñ ne kar diye saare
rulātī hī rahī aksar tirī begāngī mujh ko
'jalālī' jāda-e-ulfat meñ jab se hai qadam rakkhā
rahī un ke tasavvur meñ hamesha bekalī mujh ko
bahut ruswa kya is 'ashiqi ne har gali mujh ko
liye phirti rahi har ja ye meri bekasi mujh ko
chhupae se nahin chhupti haqiqat khul hi jati hai
sar-e-bazar le aai meri diwangi mujh ko
KHabar kya thi yahi ek din qayamat mujh pe Dhaegi
pasand aai thi bachpan mein teri ye sadgi mujh ko
nigah-e-naz ne un ki mujhe ek armughan baKHsha
mila darbar-e-ulfat se shuur-e-zindagi mujh ko
dil-o-jaan-o-jigar qurban main ne kar diye sare
rulati hi rahi aksar teri begangi mujh ko
'jalali' jada-e-ulfat mein jab se hai qadam rakkha
rahi un ke tasawwur mein hamesha bekali mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.