bahut shukriya aur baDi mehrbani meri zindagi mein huzur aap aae
bahut shukriya aur baDi mehrbani meri zindagi mein huzur aap aae
S. H. Bihari
MORE BYS. H. Bihari
bahut shukriya aur baḌī mehrbānī mirī zindagī meñ huzūr aap aa.e
qadam chuum luuñ yā ki āñḳheñ bichhā duuñ karūñ kyā ye merī samajh meñ na aa.e
karūñ pesh tum ko ye nazrāna dil kā ki ban jaa.e phir koī afsāna dil kā
ḳhudā jaane aisī suhānī ghaḌī phir mirī zindagī meñ palaT ke na aa.e
ḳhushī to bahut hai magar ye bhī ġham hai ki ye saath apnā qadam-do-qadam hai
magar ye musāfir duā māñgtā hai ḳhudā aap se phir kisī din milā.e
mujhe Dar hai mujh meñ ġhurūr aa na jaa.e lagūñ jhūmne maiñ surūr aa na jaa.e
kahīñ dil na merā ye tārīf sun kar tumhārā bane aur mujhe bhuul jaa.e
bahut shukriya aur baDi mehrbani meri zindagi mein huzur aap aae
qadam chum lun ya ki aanKHen bichha dun karun kya ye meri samajh mein na aae
karun pesh tum ko ye nazrana dil ka ki ban jae phir koi afsana dil ka
KHuda jaane aisi suhani ghaDi phir meri zindagi mein palaT ke na aae
KHushi to bahut hai magar ye bhi gham hai ki ye sath apna qadam-do-qadam hai
magar ye musafir dua mangta hai KHuda aap se phir kisi din milae
mujhe Dar hai mujh mein ghurur aa na jae lagun jhumne main surur aa na jae
kahin dil na mera ye tarif sun kar tumhaara bane aur mujhe bhul jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.