bahut socha kiye kya zindagi hai
bahut sochā kiye kyā zindagī hai
faqat ik dhund meñ āvārgī hai
tabī.at meñ jo ye shā.istagī hai
tumhāre naam se vābastagī hai
kuredā ba.ad barsoñ ke to dekhā
mire zaḳhmoñ meñ ab bhī tāzgī hai
kisī ke saath huuñ aise azal se
samundar saath jaise tishnagī hai
mire ḳhvāboñ meñ apnā ghar banā lo
nagar meñ ab kahāñ pākīzgī hai
koī mausam na lā.egā saverā
tumhāre zehn meñ gar tīrgī hai
bahut socha kiye kya zindagi hai
faqat ek dhund mein aawargi hai
tabiat mein jo ye shaistagi hai
tumhaare nam se wabastagi hai
kureda baad barson ke to dekha
mere zaKHmon mein ab bhi tazgi hai
kisi ke sath hun aise azal se
samundar sath jaise tishnagi hai
mere KHwabon mein apna ghar bana lo
nagar mein ab kahan pakizgi hai
koi mausam na laega sawera
tumhaare zehn mein gar tirgi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.