bahut udas hai dil jaane majra kya hai
bahut udaas hai dil jaane mājrā kyā hai
mire nasīb meñ ġham ke sivā dharā kyā hai
maiñ jin ke vāste duniyā hī chhoḌ aayā thā
vo pūchhte haiñ ki āḳhir tujhe huā kyā hai
nibhā rahā huuñ maiñ duniyā ke rāh-o-rasm yahāñ
vagarna jism ke sahrā meñ ab bachā kyā hai
yahāñ to iid kā mausam bhī ab nahīñ aatā
na jaane gardish-e-daurāñ ko ho gayā kyā hai
har ek raat mirī zindagī kā mātam hai
har ek shaam yahāñ maut ke sivā kyā hai
hamārā farz to jalnā hai sirf mahfil meñ
bhalā charāġh kā ḳhushiyoñ se vāsta kiyā hai
bahut udas hai dil jaane majra kya hai
mere nasib mein gham ke siwa dhara kya hai
main jin ke waste duniya hi chhoD aaya tha
wo puchhte hain ki aaKHir tujhe hua kya hai
nibha raha hun main duniya ke rah-o-rasm yahan
wagarna jism ke sahra mein ab bacha kya hai
yahan to id ka mausam bhi ab nahin aata
na jaane gardish-e-dauran ko ho gaya kya hai
har ek raat meri zindagi ka matam hai
har ek sham yahan maut ke siwa kya hai
hamara farz to jalna hai sirf mahfil mein
bhala charagh ka KHushiyon se wasta kiya hai
- Book : Lahja bolta hai (Pg. 70)
- Author : Siraj Alam Zakhmi
- Publication : Gulistan-e-adab (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.