bahut zamin bahut aasman milenge tumhein
bahut zamīn bahut āsmāñ mileñge tumheñ
pa ham se ḳhaak ke putle kahāñ mileñge tumheñ
ḳharīd lo abhī bāzār meñ na.e haiñ ham
ki ba.ad meñ to bahut hī garāñ mileñge tumheñ
ab ibtidā-e-safar hai to jo hai kah sun lo
ham us ke ba.ad na jaane kahāñ mileñge tumheñ
jo rāste meñ mile koī masjid-e-vīrāñ
to ham vahīñ kahīñ vaqt-e-azāñ mileñge tumheñ
ham intihā meñ mileñge gar ibtidā meñ nahīñ
nahīñ vahāñ bhī to phir darmiyāñ mileñge tumheñ
Thahar hī jā.eñge āḳhir kahīñ janāb-'ehsās'
par apne sher meñ yuuñ hī ravāñ mileñge tumheñ
bahut zamin bahut aasman milenge tumhein
pa hum se KHak ke putle kahan milenge tumhein
KHarid lo abhi bazar mein nae hain hum
ki baad mein to bahut hi garan milenge tumhein
ab ibtida-e-safar hai to jo hai kah sun lo
hum us ke baad na jaane kahan milenge tumhein
jo raste mein mile koi masjid-e-viran
to hum wahin kahin waqt-e-azan milenge tumhein
hum intiha mein milenge gar ibtida mein nahin
nahin wahan bhi to phir darmiyan milenge tumhein
Thahar hi jaenge aaKHir kahin janab-'ehsas'
par apne sher mein yun hi rawan milenge tumhein
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 96)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.