bair hai na koi raqabat hai
bair hai na koī raqābat hai
merā paiġhām bas mohabbat hai
mere dil ke ġharīb-ḳhāne meñ
aa.iye aap kā suvāgat hai
aur baaqī haiñ jitne ġham aa.eñ
muskurānā hamārī fitrat hai
'mīr' muflis the lakh-pati 'manzar'
shā.irī aaj kī tijārat hai
tajraboñ kā nichoḌ hai itnā
zindagī pyaar se ibārat hai
kaash duniyā samajhtī ye 'naġhmī'
pyaar karnā bhī ik ibādat hai
bair hai na koi raqabat hai
mera paigham bas mohabbat hai
mere dil ke gharib-KHane mein
aaiye aap ka suwagat hai
aur baqi hain jitne gham aaen
muskurana hamari fitrat hai
'mir' muflis the lakh-pati 'manzar'
shairi aaj ki tijarat hai
tajrabon ka nichoD hai itna
zindagi pyar se ibarat hai
kash duniya samajhti ye 'naghmi'
pyar karna bhi ek ibaadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.