baiThe-baiThe ek dam se chaunkati hai
baiThe-baiThe ik dam se chauñkātī hai
yaad tirī kab dastak de kar aatī hai
titlī ke jaisī hai merī har ḳhvāhish
haath lagāne se pahle uḌ jaatī hai
mere sajde raaz nahīñ rahne vaale
us kī chaukhaT māthe ko chamkātī hai
ishq meñ jitnā bahko utnā hī achchhā
ye gumrāhī manzil tak pahuñchātī hai
pahlī pahlī baar ajab sā lagtā hai
dhīre dhīre aadat sī ho jaatī hai
tum us ko bhī samjhā kar pachhtāoge
vo bhī mere hī jaisī jazbātī hai
baiThe-baiThe ek dam se chaunkati hai
yaad teri kab dastak de kar aati hai
titli ke jaisi hai meri har KHwahish
hath lagane se pahle uD jati hai
mere sajde raaz nahin rahne wale
us ki chaukhaT mathe ko chamkati hai
ishq mein jitna bahko utna hi achchha
ye gumrahi manzil tak pahunchati hai
pahli pahli bar ajab sa lagta hai
dhire dhire aadat si ho jati hai
tum us ko bhi samjha kar pachhtaoge
wo bhi mere hi jaisi jazbaati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.