baiThe baiThe pareshaniyan baDh gain
baiThe baiThe pareshāniyāñ baḌh ga.iiñ
dil lagāyā to tanhā.iyāñ baḌh ga.iiñ
pal-do-pal kī mulāqāt se kyā milā
aur bhī dil kī betābiyāñ baḌh ga.iiñ
tum ko takne kā ik fā.eda ye huā
merī āñkhoñ kī bīnā.iyāñ baḌh ga.iiñ
ik kalī baaġh meñ phuul kyā ban ga.ī
bhañvre aane lage titliyāñ baḌh ga.iiñ
apnī aulād jab aa ga.ī darmiyāñ
bhaa.ī kī bhaa.ī se dūriyāñ baḌh ga.iiñ
bas yahī soch kar Dar rahā huuñ maiñ 'rāz'
kyoñ azīzoñ kī hamdardiyāñ baḌh ga.iiñ
baiThe baiThe pareshaniyan baDh gain
dil lagaya to tanhaiyan baDh gain
pal-do-pal ki mulaqat se kya mila
aur bhi dil ki betabiyan baDh gain
tum ko takne ka ek faeda ye hua
meri aankhon ki binaiyan baDh gain
ek kali bagh mein phul kya ban gai
bhanwre aane lage titliyan baDh gain
apni aulad jab aa gai darmiyan
bhai ki bhai se duriyan baDh gain
bas yahi soch kar Dar raha hun main 'raaz'
kyon azizon ki hamdardiyan baDh gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.