baiThe biThae lag gaya ek dard-e-sar mujhe
baiThe biThā.e lag gayā ik dard-e-sar mujhe
us kā ḳhayāl rahtā hai āThoñ pahar mujhe
chūlhe meñ jaa.e pālkī bus hī se jā.ūñgī
tea party meñ jaanā hai T T nagar mujhe
jab se uThā ke rakh diyā burqe ko taaq par
takte haiñ ghuur ghuur ke sab bad-nazar mujhe
ab jaane dūlhā-bhā.ī meñ kyā kiiḌe paḌ ga.e
jaane ko man.a karte haiñ baajī ke ghar mujhe
phir chāhe chauk yā ki mukārim nagar ko jaa.eñ
pahuñchā.eñ pahle jā ke mirī maañ ke ghar mujhe
baiThe biThae lag gaya ek dard-e-sar mujhe
us ka KHayal rahta hai aaThon pahar mujhe
chulhe mein jae palki bus hi se jaungi
tea party mein jaana hai T T nagar mujhe
jab se uTha ke rakh diya burqe ko taq par
takte hain ghur ghur ke sab bad-nazar mujhe
ab jaane dulha-bhai mein kya kiDe paD gae
jaane ko mana karte hain baji ke ghar mujhe
phir chahe chauk ya ki mukarim nagar ko jaen
pahunchaen pahle ja ke meri man ke ghar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.