baiThe hain gesuon ko pareshan kiye hue
baiThe haiñ gesuoñ ko pareshāñ kiye hue
mere junūñ ko husn kā unvāñ kiye hue
jī chāhtā hai kījiye barham mizāj-e-husn
muddat huī hai un ko numāyāñ kiye hue
jur.at to merī dekh ki huuñ tere sāmne
hastī se apnī tujh ko numāyāñ kiye hue
rakhtā huuñ sau muāmle tujh se ba-faiz-e-dil
apnī nazar se bhī tujhe pinhāñ kiye hue
hai vo nazar tavāzo-e-ulfat se mutma.in
mehmāñ ko nazr-e-shoḳhī-e-mizhgāñ kiye hue
yā-rab phir ek baar faqīroñ pe marhamat
muddat huī ziyārat-e-insāñ kiye hue
goyā unhīñ kī yaad meñ hai 'maikash'-e-ḳharāb
ḳhud apne kufr-e-ishq ko īmāñ kiye hue
baiThe hain gesuon ko pareshan kiye hue
mere junun ko husn ka unwan kiye hue
ji chahta hai kijiye barham mizaj-e-husn
muddat hui hai un ko numayan kiye hue
jurat to meri dekh ki hun tere samne
hasti se apni tujh ko numayan kiye hue
rakhta hun sau muamle tujh se ba-faiz-e-dil
apni nazar se bhi tujhe pinhan kiye hue
hai wo nazar tawazo-e-ulfat se mutmain
mehman ko nazr-e-shoKHi-e-mizhgan kiye hue
ya-rab phir ek bar faqiron pe marhamat
muddat hui ziyarat-e-insan kiye hue
goya unhin ki yaad mein hai 'maikash'-e-KHarab
KHud apne kufr-e-ishq ko iman kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.