baiThe rahenge wo to hamesha daba ke baat
baiThe raheñge vo to hamesha dabā ke baat
ham hī kareñge un se kisī roz jā ke baat
kuchh bhī nikāl sakte haiñ matlab vo baat kā
kartā huuñ is liye maiñ bahut bach-bachā ke baat
pechīda ho ga.e haiñ hamāre ta.alluqāt
karnī paḌī hai mujh ko ghumā ke phirā ke baat
ik ham ki le ke baiTh ga.e ek lafz ko
ik vo ki chal diye jo hañsī meñ uḌā ke baat
kahtā huuñ dil kī baat ghaTā kar raqīb se
kartā hai vo jo aage baḌhā ke chaḌhā ke baat
vo jo banī huī hai rukāvaT sī darmiyāñ
milnā ho ab hameñ to mileñ vo haTā ke baat
matlūb vā.izoñ ko haiñ shāyad hamāre ashk
hañsne kī bhī vo karte haiñ aksar rulā ke baat
'bāsir' bayān-e-sāda ko paayā hai be-asar
kiije zarā sañvār ke qadre banā ke baat
baiThe rahenge wo to hamesha daba ke baat
hum hi karenge un se kisi roz ja ke baat
kuchh bhi nikal sakte hain matlab wo baat ka
karta hun is liye main bahut bach-bacha ke baat
pechida ho gae hain hamare talluqat
karni paDi hai mujh ko ghuma ke phira ke baat
ek hum ki le ke baiTh gae ek lafz ko
ek wo ki chal diye jo hansi mein uDa ke baat
kahta hun dil ki baat ghaTa kar raqib se
karta hai wo jo aage baDha ke chaDha ke baat
wo jo bani hui hai rukawaT si darmiyan
milna ho ab hamein to milen wo haTa ke baat
matlub waizon ko hain shayad hamare ashk
hansne ki bhi wo karte hain aksar rula ke baat
'basir' bayan-e-sada ko paya hai be-asar
kije zara sanwar ke qadre bana ke baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.