baiThna sahil pe dariya ki rawani dekhna
baiThnā sāhil pe dariyā kī ravānī dekhnā
aur ḳhālī vaqt meñ filmeñ purānī dekhnā
dekhnā chāho udāsī meñ shajar Duube hue
tum parindoñ kī kabhī naql-e-makānī dekhnā
intihā.ī sukh kihīñ āñkhoñ meñ mere ḳhvāb hoñ
intihā.ī dukh unhīñ āñkhoñ meñ paanī dekhnā
roz so jaanā falak kī vus.atoñ ko oḌh kar
roz ḳhvāboñ meñ zamīñ kī be-karānī dekhnā
tai huā hai aa.egā vo milne aadhī raat ko
niim shab meñ aap nūr-e-kahkashānī dekhnā
baiThna sahil pe dariya ki rawani dekhna
aur KHali waqt mein filmen purani dekhna
dekhna chaho udasi mein shajar Dube hue
tum parindon ki kabhi naql-e-makani dekhna
intihai sukh kihin aankhon mein mere KHwab hon
intihai dukh unhin aankhon mein pani dekhna
roz so jaana falak ki wusaton ko oDh kar
roz KHwabon mein zamin ki be-karani dekhna
tai hua hai aaega wo milne aadhi raat ko
nim shab mein aap nur-e-kahkashani dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.