bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta
bajā.e koī shahnā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
mohabbat kā tamāshā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
vo jab bichhḌe the ham to yaad hai garmī kī chhuTTīyāñ thiiñ
tabhī se maah july mujhe achchhā nahīñ lagtā
vo sharmātī hai itnā ki hamesha us kī bātoñ kā
qarīban ek chauthā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
na-jāne itnī kaḌvāhaT kahāñ se aa ga.ī mujh meñ
kare jo merī achchhā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
mire dushman ko itnī fauqiyat to hai bahar-sūrat
ki tū hai us kī ham-sā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
na itnī daad do jis meñ mirī āvāz dab jaa.e
kare jo yuuñ pazīrā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
tirī ḳhātir nazar-andāz kartā huuñ use varna
vo jo hai nā tirā bhaa.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta
mohabbat ka tamashai mujhe achchha nahin lagta
wo jab bichhDe the hum to yaad hai garmi ki chhuTTiyan thin
tabhi se mah july mujhe achchha nahin lagta
wo sharmati hai itna ki hamesha us ki baaton ka
qariban ek chauthai mujhe achchha nahin lagta
na-jaane itni kaDwahaT kahan se aa gai mujh mein
kare jo meri achchhai mujhe achchha nahin lagta
mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahar-surat
ki tu hai us ki ham-sai mujhe achchha nahin lagta
na itni dad do jis mein meri aawaz dab jae
kare jo yun pazirai mujhe achchha nahin lagta
teri KHatir nazar-andaz karta hun use warna
wo jo hai na tera bhai mujhe achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.