bajaT maine dekhe hain sare tere
bajaT maiñ ne dekhe haiñ saare tire
anokhe anokhe ḳhasāre tire
alalle-talalle udhāre tire
bhalā kaun qarze utāre tire
girānī kī sauġhāt hāsil mirā
mahāsil tire goshvāre tire
mushīroñ kā jamghaT salāmat rahe
bahut kaam jis ne sañvāre tire
mirī sāda-lauhī samajhtī nahīñ
hisābī kitābī ishāre tire
ka.ī istelāhoñ meñ gūñdhe hue
kinā.e tire isti.āre tire
tū arboñ kī kharboñ kī bāteñ kare
adad kaun itne shumāre tire
tujhe kuchh ġharīboñ kī parvā nahīñ
vaDere haiñ pyāre dulāre tire
idhar se liyā kuchh udhar se liyā
yūñhī chal rahe haiñ idāre tire
bajaT main ne dekhe hain sare tere
anokhe anokhe KHasare tere
alalle-talalle udhaare tere
bhala kaun qarze utare tere
girani ki saughat hasil mera
mahasil tere goshware tere
mushiron ka jamghaT salamat rahe
bahut kaam jis ne sanware tere
meri sada-lauhi samajhti nahin
hisabi kitabi ishaare tere
kai istelahon mein gundhe hue
kinae tere istiare tere
tu arbon ki kharbon ki baaten kare
adad kaun itne shumare tere
tujhe kuchh gharibon ki parwa nahin
waDere hain pyare dulare tere
idhar se liya kuchh udhar se liya
yunhi chal rahe hain idare tere
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 14)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.