bala-e-tira-shabi ka jawab le aae
balā-e-tīra-shabī kā javāb le aa.e
bujhe charāġh to ham āftāb le aa.e
bikhar ga.e jo kabhī chashm-e-intizār ke rañg
is anjuman se ham ik aur ḳhvāb le aa.e
ham is zamīn pe mīzān-e-adl rakhte haiñ
kaho zamāne se fard-e-hisāb le aa.e
har ek ġham se salāmat guzar gayā hai dil
ḳhudā kare ki mohabbat kī taab le aa.e
ga.e the ham bhī in āñkhoñ se māñgne kyā kyā
vahī huā ki bas ik iztirāb le aa.e
hamārī laġhzish-e-paiham ko rā.egāñ na samajh
ajab nahīñ ki yahī inqalāb le aa.e
na laa.e kuchh bhī ham āshob-e-dahr meñ 'aḳhtar'
bas ek hausla-e-iztirāb le aa.e
bala-e-tira-shabi ka jawab le aae
bujhe charagh to hum aaftab le aae
bikhar gae jo kabhi chashm-e-intizar ke rang
is anjuman se hum ek aur KHwab le aae
hum is zamin pe mizan-e-adl rakhte hain
kaho zamane se fard-e-hisab le aae
har ek gham se salamat guzar gaya hai dil
KHuda kare ki mohabbat ki tab le aae
gae the hum bhi in aankhon se mangne kya kya
wahi hua ki bas ek iztirab le aae
hamari laghzish-e-paiham ko raegan na samajh
ajab nahin ki yahi inqalab le aae
na lae kuchh bhi hum aashob-e-dahr mein 'aKHtar'
bas ek hausla-e-iztirab le aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.