bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
balā kī pyaas thī hadd-e-nazar meñ paanī thā
ki aaj ḳhvāb meñ sahrā thā ghar meñ paanī thā
phir is ke ba.ad mirī raat be-misāl huī
udhar vo sho.ala-badan thā idhar meñ paanī thā
na jaane ḳhaak ke mizhgāñ pe ābshār thā kyā
mirā qusūr thā mere sharar meñ paanī thā
tamām umr ye uqda na vā huā mujh par
ki haath meñ thā yā chashm-e-ḳhizar meñ paanī thā
ajiib dasht-e-tamannā se thā guzar 'ḳhālid'
badan meñ reg-e-ravāñ thī safar meñ paanī thā
bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
ki aaj KHwab mein sahra tha ghar mein pani tha
phir is ke baad meri raat be-misal hui
udhar wo shoala-badan tha idhar mein pani tha
na jaane KHak ke mizhgan pe aabshaar tha kya
mera qusur tha mere sharar mein pani tha
tamam umr ye uqda na wa hua mujh par
ki hath mein tha ya chashm-e-KHizar mein pani tha
ajib dasht-e-tamanna se tha guzar 'KHalid'
badan mein reg-e-rawan thi safar mein pani tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.