bala se koi hath malta rahe
balā se koī haath maltā rahe
tirā husn sāñche meñ Dhaltā rahe
har ik dil meñ chamke mohabbat kā daaġh
ye sikka zamāne meñ chaltā rahe
vo hamdard kyā jis kī har baat meñ
shikāyat kā pahlū nikaltā rahe
badal jaa.e ḳhud bhī to hairat hai kyā
jo har roz va.ade badaltā rahe
mirī be-qarārī pe kahte haiñ vo
nikaltā hai dam to nikaltā rahe
bala se koi hath malta rahe
tera husn sanche mein Dhalta rahe
har ek dil mein chamke mohabbat ka dagh
ye sikka zamane mein chalta rahe
wo hamdard kya jis ki har baat mein
shikayat ka pahlu nikalta rahe
badal jae KHud bhi to hairat hai kya
jo har roz wade badalta rahe
meri be-qarari pe kahte hain wo
nikalta hai dam to nikalta rahe
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 115)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.